Photoshop kya hota hai, ye jaane ke baad, Photoshop sikhne mei humara dusra important topic aata hai, Photoshop me New Document kaise banaye.
Photoshop me New Document kab banaye or kab nahi
Photoshop me students ke mind mei aksar ye saval ya confusion aata hai ke aakhir Photoshop me kab New Document create kre aur kab anhi kre. Aisa isliye hota hai kyuki, students jab apne seniors, class mei teacher ya kisi artist ko kaam krte dekhte hai toh vo log direct image ko photoshop mei open kr dete hai bina document create kre.
Isliye hum sabse phele ye samjhte hai ke kab jarurat hoti hai Photoshop me New Document create krne ke. Agar aap koi bhi Graphic Product or Graphic Work create kr rahe hai jaise Business Card, Flex Board design, Brochure, Poster or Image Manipulation etc., tab apko New Document create krna chahiye.
Graphic Works mei aksar ek particular category ya field ke according work hota hai, isliye unmei kuch phele se banaye gaye popular sizes and setting hoti hai jo follow krni chahiye.
Vahi dusri taraf agar aap sirf practice kr rahe hai kisi particular topic ya tool ke toh apko itna sochne ke jarurat nahi. Tab aap directly apni image Photoshop me open kr sakte hai or practice kr sakte hai.
Photoshop par New Document ya file kaise banaye
Photoshop me New Document banane ke liye, Photoshop ke User Interface me, hume ‘Menu Bar’ ke ‘File’ menu ke andar ‘New’ option par click krna hoga
Click krne ke baad, New Document dialogue box open hoga. Jo kuch aisa dekhega:
Photoshop ke version ke according apka dialogue box different ho sakta hai. Agar aap bhi meri trah Adobe Photoshop CC use kr rahe hai toh apki screen bhi same dekhegi.
Photoshop ka version koi bhi ho, jo Dash lines mei maine setting mark kri hai, vo har Photoshop version mei apko same milengi and unko he samjhna important hota hai photoshop me.
Share with your friends: